Professional prejudices

Professional prejudices

Politics is in the Indians’ blood. They snub nose at anything that they know of. Here is a set of ‘versus’ in my company, and how they are manifested:

1. Officers versus crew
e.g. : Officer log ko koi kanoon nahin hai.
Crew ko dabaa ke rakho.
2. petty officers versus officers
e.g: Jahaz ka kaam officer nahin hum log karta hai. Officer ko koi kaam nahin atta
Petty officer khud ko turram khan samjhata hai.
3. crew versus petty officers. (incidently both petty officer’s and crew are members of same grand labour union!!)
e.g. Crew sirf sone ke liya hai jahaz par. Inko koi kaam nahin.
Petty officer ko paanaa pakdna bhi nahin aata theek se.
4. Deck versus Engine. (again members of same labor union- the MUI)
e.g engine waalon ko jaisa bola waisa karma hai.
Hum engine nahin dega ko ko jahaaz kya khud dhakke se chalayega.
5. Cadet versus stewards
Tum abhi cadet hai aur cadet ki tarah raho. Naya naya chokkra kaha kaha se aa jata hai..
Jahaz ka kaam hum karta hai. Tumahara kaam hume khaana khilane ka hai. Kayede se karo.
6. ship staff versus shore staff.
e.g. Ship walon ko ship par kaam kya hota hai.
Shore wala samjhata hai ki company woh log chalata hai.
7. technical versus commercial.
e.g. Ship sahi nahin hoga toh cargo load kahan hoga.
Cargo book nahin karega toh ship kya khaali chalayega.
8. tanker ships versus bulk carriers.
e.g. Tanker ki life main bahut kaam hai. Bulk carrier mein kaam kya hota hai.
Pump chalaa ke so jao. Tanker par buss yahi hai. Bulkies ki crane aa kar dekho ek baar.
9. office versus ship.(same in nature as ship versus shore, but including ex-sailors also in the set ‘office’)
e.g. Office wale toh wahan baita kuch bhi bol deta hai. Ek baar jahaz par aa kar dekho.
Jaise hum log kabhi jahaz par kaam nahin kiya hai.! Ya dekha hi nahin hai.
10. Finance versus fleet personnel.
Finance wala humara paisa hume hi aise deta hai jaise ehsaan kar raha hai.
Woh log sochata hai ki hum unka paisa khaa jana chahata hai.
11. Master versus ‘crew’ (crew includes all officers also except Master himself)
I am the master of the ship. U do as I say. U don’t tell me what I have to do.
Then run your ship yourself only. Don’t trouble me.You are master doesn’t mean I am your slave.
12. Pilot versus Master
e.g. Captain ka kaam kya hai—harbour me harbour pilot, sea main Auto pilot.
Inki responsibility toh hoti nahin. Faltu main aa jate hai. Khatir daari alag se. Sab hume hi dekhana padata hai.
13. Master versus chief engineer.
e.g. why is the air conditioning weak in my cabin..
It’s a technical problem. I haven’t stopped it.
14. Charters versus ship owners.
e.g. We are the real owners of the ships. We tell you what to load and where and when to move.
I am the master. If I do something to your cargo in sea passage, you can’t detect it.
15. Deck versus saloon
E.g. saloon wala ka toh mazaa hai. Koi kaam nahin inko. Sirf charr logo ko khaana khilaane ka.Abhi life boat uttarne ko bolo.
Hum wahi toh karegaa na jo humaara kaam hai. Tum apna kaam dekho.
16. workshop versus ship staff.
e.g. Yeh workshop wala sab gandaa kar deta hai.
Hum log yahan sirf kaam karne aaya hai. Safaai ka kaam inka hai.

Comments

Popular posts from this blog

The Orals

Why say "No" to the demand for a Uniform Civil Code in India

About the psychological, cutural and the technological impacts of the music songs